• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sham Saja Ke Kya Karen Yaad Ka Ehtimam Bhi

Sham Saja Ke Kya Karen Yaad Ka Ehtimam Bhi

shaam saja ke kya karen yaad ka ehtimam bhi

bhuul ga.e hain ab to ham us ka bhala sa naam bhi

raah men rok kar use aap hain sharmsar ham

yaad hi aa nahin raha us se tha koi kaam bhi

taq-e-mizha pe zau-fishan misl-e-charagh-o-kahkashan

us ki gali ki sub.h bhi us ki gali ki shaam bhi

vaqt-e-namaz-e-ishq tha koi na pesh-o-pusht jab

ḳhud hi ko muqtadi kiya ḳhud hi bane imaam bhi

bagh-e-vatan ki shaḳh-e-sabz zard na ho kabhi agar

sazish-e-hukmaran se ghafil na rahe avaam bhi

us ne kivaḌ khol kar yuun hi gali men ki nigah

rahravon ke darmiyan Thair ga.i hai shaam bhi

mujh pe karam-navaziyan dasht ki baḌh na jaa.en kyuun

vali-e-shahr-e-ishq huun us pe tira ghulam bhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

munawwar-rana

Khud-Kalami

Dil Gham-E-Rozgar Se Nikla

noon-meem-rashid

Tere Karam Se Khudai Mein Yun To Kya Na Mila

adil-hayat

Koi Jhonka

Tahayyur Hai Bala Ka Ye Pareshani Nahin Jati

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet