Mauzu-E-suKHan Himmat-E-Ali Hi Rahegi

mauzū-e-suḳhan himmat-e-ālī hī rahegī

jo tarz nikālūñgā misālī hī rahegī

ab mujh se ye duniyā mirā sar maañg rahī hai

kambaḳht mire aage savālī hī rahegī

vo nashsha-e-ġham ho ki ḳhumār-e-mai-e-pindār

dil vāloñ ke chehre pe bahālī hī rahegī

ab tak to kisī ġhair kā ehsāñ nahīñ mujh par

qātil bhī koī chāhne vaalī hī rahegī

maiñ laakh ise taaza rakhūñ dil ke lahū se

lekin tirī tasvīr ḳhayālī hī rahegī

is dil pe Thaharne kā nahīñ ‘zeb’ koī naqsh

ye aañkh kisī rañg se ḳhālī hī rahegī

Leave a Comment