• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHushk Dariya paDa Hai KHwahish Ka

KHushk Dariya paDa Hai KHwahish Ka

ḳhushk dariya paḌa hai ḳhvahish ka

ḳhvab dekha tha ham ne barish ka

mustaqil dil jala.e rakhta hai

hai ye mausam hava ki sazish ka

us se kahne ko to bahut kuchh hai

vaqt milta nahin guzarish ka

koi us se to kuchh nahin kahta

bo raha hai jo beach ranjish ka

pa-ba-zanjir chal rahe hain jo ham

ye bhi pahlu hai ik numa.ish ka

phuul kal the to aaj patthar hain

ye bhi andaz hai sata.ish ka

main ne ankhon se guftugu kar li

ye hunar hai zaban ki bandish ka

khil rahe hain gulab zaḳhmon ke

shukriya aap ki navazish ka

jaari mashq-e-suḳhan rahe ‘ejaz’

kuchh sila to milega kavish ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aastane Lahu Mein Tar Dekhe

poet

Qafas-E-Jism-O-Jaan Mein Qaid Rahe

Ab Apne Dida-O-Dil Ka Bhi Etibar Nahin

gulzar

Phulon Ki Tarah Lab Khol Kabhi

Ai Saba Nikhat-E-Gesu-E-Muambar Lana

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet