• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sukun-E-Dil Ho Magar Tum Bacha Sake Na Mujhe

Sukun-E-Dil Ho Magar Tum Bacha Sake Na Mujhe

sukun-e-dil ho magar tum bacha sake na mujhe

dalil-e-dard-e-jigar tum bacha sake na mujhe

tumhi safina tumhi na-ḳhuda tumhi sahil

main Dubta huun magar tum bacha sake na mujhe

kisi ke dast-e-shifa kaise mere kaam aa.en

mire tabib agar tum bacha sake na mujhe

huun shab-gazida gham-e-dil bichhaḌ ga.e tum bhi

mire sharik-e-safar tum bacha sake na mujhe

lage hain dil pe mire charasaz tir-e-bala

tumhi the sina-sipar tum bacha sake na mujhe

koi na dekh saka hai mira ye soz-e-darun

tumhi the ahl-e-nazar tum bacha sake na mujhe

para.i aag men andar se jal raha huun main

mire chinar-shajar tum bacha sake na mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Lamhe Teri Judai Ke

Dil Kho Gaya Hamara Kisi Se Mila Ke Hath

Koi Bhi Ham-Safar Nahin Hota

Sufi

Na Ho Ya Rab Aisi Tabiat Kisi Ki

Aisi Mushkil Mein Na Jaan Thi Pahle

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet