maut ke hathon to mera ye badan mar ja.ega
main magar us din marunga jab ye man mar ja.ega
sar-nigun hain suliyan mere lahu ke samne
tum samajhte the ki mera bankpan mar ja.ega
sarhadi paTTi pe us ki laash pahchanega kaun
jo vatan ki sar-zamin par be-vatan mar ja.ega
meri qurbani zaruri hai agar zinda raha
jaan dene ka saliqa aur fan mar ja.ega
chand maari kijiye lekin gulabon par nahin
aaj to ḳhushbu maregi kal chaman mar ja.ega
dekh lijega anaḌi baghban ke haath se
khurpiyon ke zaḳhm kha kha kar chaman mar ja.ega
duur ankhon se na ja ab ai sarab-e-zindagi
dard ke sahra men aasha ka hiran mar ja.ega
raj-naitik baniye gar DanDi yuun hi maara kiye
har adalat men tarazu ka chalan mar ja.ega
dijiye tahzib ko taaza hava varna habib
‘mir’ ke ash.ar ‘mira’ ka bhajan mar ja.ega
barq se ‘panchhi’ nasheman ko bachane ke liye
ek Thokar maar dunga to gagan mar ja.ega
Leave a Reply