vo ḳhali haath safar-e-ab par ravana hua
ḳhabar na thi ki samundar tahi-ḳhazana hua
bichhaḌte vaqt tha dil men ghubar us se magar
suḳhan hi talḳh na lahja shikayatana hua
hava bhi tez na thi mo.atadil tha mausam bhi
zamin paanv ke niche thi ik zamana hua
Leave a Reply