• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / TuTe Hue Diye Ko Sunsan Shab Mein Rakkha

TuTe Hue Diye Ko Sunsan Shab Mein Rakkha

TuuTe hue diye ko sunsan shab men rakkha

us par miri zaban ko hadd-e-adab men rakkha

kis ne sikhaya saa.il ko bhuuk ka tarana

phir kis ne la ke kaasa dast-e-talab men rakkha

muflis ki chhat ke niche kumhla ga.e hain bachche

phulon ko la ke kis ne chashm-e-ghazab men rakkha

parvardigar ne to taqva ki baat ki thi

tum ne fazilaton ko nam-o-nasab men rakkha

dar-asl tum se mil kar main ḳhud se mil sakunga

bas ek hi sabab hai darussabab men rakkha

bas dil ki anjuman hai yadon ke nastaran hain

ab aur kya hai baaqi is jan-ba-lab men rakkha

‘ahmad’ men baat dil ki kahta to kis se kahta

naghma sukut ka tha shor-o-shaghab men rakkha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Meri Qurbaton Ki KHatir Yunhi Be-Qarar Hota

Ek Sanwle Badan Se Mohabbat Qubul Kar

Aandhe moD Ko Jo Bhi kaTe Aahista Guzre

Wida-E-Yar Ka Lamha Thahar Gaya Mujh Mein

Ek Lahr Mili Apne Bahao Se Nikal Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet