kaha jo us ne ki kahiye to kuchh gila kya hai
miri zaban se nikla ki fa.eda kya hai
udaas dekh ke mahfil ko meri kahte hain
yahan bhi koi musibat ka mubtala kya hai
bas aaj tak to bahut ḳhuub hijr men guzri
ab aage dekhiye taqdir men likha kya hai
tamam ho ga.e ham dastan ho ga.i ḳhatm
ab aur qissa-e-furqat ki intiha kya hai
gale se aa ke mile vo to aur dil taḌpa
baḌhe dava se to phir dard ki dava kya hai
har ek ashk ke qatre men ḳhuun ki shirkat ne
hamara zaḳhm-e-jigar be-mahal hansa kya hai
jo dekhta huun kabhi aa.ina main furqat men
to ḳhud bhi kahta huun ye aap ko hua kya hai
sitam pe daad ke ḳhvahan tumhin se hain ‘javed’
vo janen kya ki jafa kya hai aur vafa kya hai
Leave a Reply