na pinhan raz-e-gham ab hai na tha ai mehrban pahle
kisi par ab ayaan hoga kisi par tha ayaan pahle
asar hone ko to un par bhi hoga josh-e-vahshat ka
uḌengi mere hi daman ki lekin dhajjiyan pahle
kashish dair-o-haram ki to asar-andaz hai yaksan
magar ye kah nahin sakta ki ja.unga kahan pahle
chala hai daur to baari pe saghar mil hi ja.ega
bahut beja hai ye kahna yahan pahle vahan pahle
mujhe jab bhi koi Thokar lagi hai rah-e-ulfat men
hamesha yaad aaya hai zamin se asman pahle
miri ḳhamoshi-e-paiham fasana ban ga.i varna
samajhta hi na tha koi mohabbat ki zaban pahle
tumhare naam se tasir is men ho ga.i paida
kabhi sunta na tha koi hamari dastan pahle
chaman ko chhoḌ kar jaana zara asan ho jaata
jala deta agar sayyad mera ashiyan pahle
karam is ko samajhta huun janab-e-josh ka ‘sahir’
ghazal men varna kab hota tha ye husn-e-bayan pahle
Leave a Reply