zindagi se paas lekin husn ke qisse se duur
ham ghazal rakhte hain apni zulf ke saae se duur
ham se jin ko unsiyat hai vo khinche aa jaenge
un ko kya nazdik laaen jo hain ḳhud pahle se duur
jaane kaise karb ubhre mere chehre par ki jo
vo nigahen apni rakhte hain mire chehre se duur
ek lamha pyaar ka jis ko mile vo surḳh-ru
kyuun mujhe rakkha gaya phir ik isi lamhe se duur
zabt karna kitna mushkil tha mujhe ma.alum hai
zindagi ko phir bhi rakkha main ne har fitne se duur
zulm kar ke tu adalat se agar bach bhi gaya
soch bhagega kahan tak asman vaale se duur
aḳhirash ashkon ke chalte hi dua puuri hui
tum ne aḳhtar jin ko rakkha aaj tak apne se duur
Leave a Reply