junun men daman-e-dil garche taar taar hua
magar ye jashn sar-e-kucha-e-bahar hua
har ek sajde men dil ko tira khayal aaya
ye ik gunah ibadat men baar baar hua
samet li hain mohabbat ne saari parvazen
dil-o-dimagh men kaisa ye intishar hua
nahin bujhaya havaon ne pahli baar charagh
ye saneha to mire saath baar baar hua
kisi ke vaste tasvir-e-intizar the ham
vo aa gaya pa kahan khatm intizar hua
andheri shab ke muqaddar men ik savera tha
ye raaz mujh pe dam-e-subh ashkar hua
jo tujh men duub ke dekha to pa liya khud ko
‘alina’ yuun mira phir mujh pe ikhtiyar hua
Leave a Reply