diya saaqi ne avval roz vo paimana masti men
ki main na-ashna pi kar hua divana masti men
sharab-e-atishin vo hai ki do ik ghunT piite hi
jo saaqi ho to aata hai nazar paimana masti men
nazar aata hai mujh ko boriya bhi taḳht-e-ta.usi
gada rakhta hai goya shaukat-e-shahana masti men
koi kahta hai masjid hai koi kahta hai bahar ja
ilahi kya main bhula huun rah-e-mai-ḳhana masti men
nasha tha mujh ko aur yaron ne chaha chhin len botal
magar kaam aa ga.i kuchh jur.at-e-rindana masti men
ḳhabar kya thi vaa.iz hai yahi samjha ki saaqi hai
uTha aur uTh ke ja lipTa main betabana masti men
miri puuja thi kaif-angez nazron ki parastari
mira sajda tha pesh-abru-e-janana masti men
qadam rakhta kahin huun aur paḌta hai kahin ja kar
‘nushur’ is vaqt huun kuchh hosh se begana masti men
Leave a Reply