• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qais Jangal Mein Akela Hai Mujhe Jaane do

Qais Jangal Mein Akela Hai Mujhe Jaane do

miyan-dad-khan-sayyah

qais jangal men akela hai mujhe jaane do

khuub guzregi jo mil baithenge divane do

laal dore tiri ankhon men jo dekhe to khula

mai-e-gul-rang se labrez hain paimane do

thahro tevri ko chadhae hue jaate ho kidhar

dil ka sadqa to abhi sar se utar jaane do

mana kyuun karte ho ishq-e-but-e-shirin-lab se

kya maze ka hai ye gham dosto gham khane do

ham bhi manzil pe pahunch jaenge marte khapte

qafila yaron ka jaata hai agar jaane do

sham o parvana na mahfil men hon baham zinhar

shama-ru ne mujhe bheje hain ye parvane do

ek aalam nazar aaega giraftar tumhen

apne gesu-e-rasa ta-ba-kamar jaane do

sakht-jani se main aari huun nihayat ai ‘talkh’

pad gae hain tiri shamshir men dandane do

hashr men pesh-e-khuda faisla is ka hoga

zindagi men mujhe us gabr ko tarsane do

gar mohabbat hai to vo mujh se phirega na kabhi

gham nahin hai mujhe ghammaz ko bhadkane do

josh-e-barish hai abhi thamte ho kya ai ashko

daman-e-koh-o-bayaban ko to bhar jaane do

vaizon ko na kare mana nasihat se koi

main na samjhunga kisi tarah se samjhane do

ranj deta hai jo vo paas na jaao ‘sayyah’

maano kahne ko mire duur karo jaane do

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sara-shagufta

Badan Se Puri Aankh Hai Meri

hasrat-mohani

Na Samjhe dil Fareb-E-Arzu Ko

Bayaban-Zad Koi Kya Kahe KHud Be-Makan Hai

poet

Hazar Wade Kiye Hain Tumne Kabhi Kisi Ko Wafa Na Karna

Kaun Kahta Hai Tere Dil Mein Utar Jaunga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet