purana qissa tamam karna paḌega us ko
na.e taqazon pe kaam karna paḌega us ko
vo ḳhalvaton men agar kisi ko pukarta hai
to apna uncha maqam karna paḌega us ko
agar vo aivan-e-ashiqi se juḌa hai to phir
ḳhud apna bhi ehtiram karna paḌega us ko
sab apni apni rivayaton ko bhula rahe hain
kuchh aur rasmon ko aam karna paḌega us ko
usi ki nigraniyon men hain ab ye bastiyan bhi
yahan bhi kuchh din qayam karna paḌega us ko
vo chahta hai agar bulandi bani rahe to
hava ko apna ghulam karna paḌega us ko
agar nigahon men afiyat hai to sehn-e-dil men
jo kuchh hai ḳhvabon ke naam karna paḌega us ko
suna hai ‘rahat’ koi qayamat hai aane vaali
abhi se kuchh intizam karna paḌega us ko
Leave a Reply