kuchh aur gumrahi-e-dil ka raaz kya hoga
ik ajnabi tha kahin rah men kho gaya hoga
vo jin ki raat tumhare hi dam se raushan thi
jo tum vahan se ga.e hoge kya hua hoga
isi ḳhayal men raten ujaḌ ga.iin apni
koi hamari bhi halat ko dekhta hoga
tumhare dil men kahan meri yaad ka partav
vo ek halka sa badal tha chhaT gaya hoga
vafa na ki na sahi ye bhi yaad hai tujh ko
koi jafa ko bhi tere taras raha hoga
gham-e-juda.i men aisi kahan thi lazzat-e-dard
unhen bhi mujh se bichhaḌne ka dukh hua hoga
Leave a Reply