anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka
thamta nahin hai paanv hamare ghubar ka
pahle kiya ḳhayal na gul ka na ḳhaar ka
ab dukh raha hai paanv nasim-e-bahar ka
paiham diye vo ranj ki insan bana diya
minnat-pazir huun sitam-e-rozgar ka
us ko ḳhizan ke aane ka kya ranj kya qalaq
rote kaTa ho jis ko zamana bahar ka
maḳhfi hai is men raz-e-baqa-e-hayat-e-ishq
kya puchhte ho haal dil-e-be-qarar ka
majburiyan sitam hain vagarna ḳhuda ki shaan
main aur yuun guzar duun mausam bahar ka
ghafil nigah-e-hosh se rang-e-chaman ko dekh
parvurda-e-ḳhizan hai zamana bahar ka
nikla hai dam ‘ravan’ ka tamanna ke saath saath
allah-re zor nala-e-be-iḳhteyar ka
Leave a Reply