
Atif Tauqeer
piran-e-jubba-o-kulah saara fasad ek hai
sab ka ḳhuda alag sahi sab ka mafad ek hai
charon taraf hain maz.habi charon taraf hain nafraten
sab ki namaz ek hai sab ka jihad ek hai
tab-e-shu.ur-o-fikr ki zad par raha hai iḳhtiyar
sadiyon se shaiḳh-o-shah ko ham se inaad ek hai
raushan charagh ho ya dil taban qalam ho ya ḳhirad
gard-e-shab-e-ḳhayal se in ka inaad ek hai
dahshat-pasand-gan se vahshat-parast-gan tak
sharh-e-junun bisiyon lekin murad ek hai

Leave a Reply