hausla kho na diya teri nahin se ham ne
kitni shiknon ko chuna teri jabin se ham ne
vo bhi kya din the ki divana bane phirte the
sun liya tha tire baare men kahin se ham ne
jis jagah pahle-pahal naam tira aata hai
dastan apni suna.i hai vahin se ham ne
yuun to ehsan hasinon ke uTha.e hain bahut
pyaar lekin jo kiya hai to tumhin se ham ne
kuchh samajh kar hi ḳhuda tujh ko kaha hai varna
kaun si baat kahi itne yaqin se ham ne
Leave a Reply