gulshan ho nigahon men to jannat na samajhna
dam-bhar ki inayat ko mohabbat na samajhna
kya shai hai mata-e-gham-o-rahat na samajhna
jiina hai to jiine ki haqiqat na samajhna
ho khair tire gham ki ki ham ne tire gham se
sikha hai masarrat ko masarrat na samajhna
nisbat hi nahin koi mohabbat ko khirad se
ai dil kabhi mafhum-e-mohabbat na samajhna
ye kis ne kaha tum se ki rudad-e-vafa ko
sun kar bhi samajhne ki zarurat na samajhna
virani-e-mahaul ko barbadi-e-dil ko
har daur men asar-e-mohabbat na samajhna
sar kham ho agar maslahat-e-vaqt ke aage
is jabr-e-musalsal ko ibadat na samajhna
dekhe jo tumhen koi mohabbat ki nazar se
lillah ‘shakil’ us ko mohabbat na samajhna
Leave a Reply