aaya huun sang o khisht ke ambar dekh kar
khauf aa raha hai saya-e-divar dekh kar
ankhen khuli rahi hain miri intizar men
aae na khvab dida-e-bedar dekh kar
gham ki dukan khol ke baitha hua tha main
aansu nikal pade hain kharidar dekh kar
kya ilm tha phisalne lagenge mire qadam
main to chala tha raah ko hamvar dekh kar
har koi parsai ki umda misal tha
dil khush hua hai ek gunahgar dekh kar