• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Zara Tez Hawa Hoti Hai

Jab Zara Tez Hawa Hoti Hai

nasir-kazmi

jab zara tez hava hoti hai

kaisi sunsan faza hoti hai

ham ne dekhe hain vo sannate bhi

jab har ik saans sada hoti hai

dil ka ye haal hua tere baad

jaise viran sara hoti hai

rona aata hai hamen bhi lekin

is men tauhin-e-vafa hoti hai

munh-andhere kabhi uth kar dekho

kya tar o taaza hava hoti hai

ajnabi dhyan ki har mauj ke saath

kis qadar tez hava hoti hai

gham ke be-nur guzargahon men

ik kiran zauq-faza hoti hai

gham-gusar-e-safar-e-rah-e-vafa

mizha-e-abla-pa hoti hai

gulshan-e-fikr ki munh-band kali

shab-e-mahtab men va hoti hai

jab nikalti hai nigar-e-shab-e-gul

munh pe shabnam ki rida hoti hai

hadsa hai ki khizan se pahle

bu-e-gul gul se juda hoti hai

ik naya daur janam leta hai

ek tahzib fana hoti hai

jab koi gham nahin hota ‘nasir’

bekali dil ki siva hoti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abul-kalam-azad

In Shokh Hasinon Ki Ada Aur Hi Kuchh Hai

imam-bakhsh-nasikh

Raat-Bhar Jo Samne Aankhon Ke Wo Mah-Para Tha

taashshuq-lakhnavi

Josh Par Thin Sifat-E-Abr-E-Bahaari Aankhen

Tu Nahin Hai to Tere Hamnam Se Rishta Rakkha

Un Nigahon Ko Ajab Tarz-E-Kalam Aata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet