tujhe pa kar kabhi dekha nahin hai
nahin malum tu hai ya nahin hai
sabhi ḳhush-fahmiyon men mubtala hon
koi tujh ko abhi samjha nahin hai
qadam kyon aage baḌhte ja rahe hain
agar ye rasta ghar ka nahin hai
bahut come log hain pahchan vaale
yahan har jism men chehra nahin hai
kahan honge hamare ḳhvab puure
yahan jannat vahan duniya nahin hai
jo apne shahar ko jannat bana de
koi is shahar men aisa nahin hai
mile hain barha mid.hat se ham bhi
vo achchha hai magar itna nahin hai
Leave a Reply