kabhi milte the vo ham se zamana yaad aata hai
badal kar vaza chhup kar shab ko aana yaad aata hai
vo baten bholi bholi aur vo shokhi naaz o ghamza ki
vo hans hans kar tira mujh ko rulana yaad aata hai
gale men daal kar banhen vo lab se lab mila dena
phir apne haath se saghar pilana yaad aata hai
badalna karvat aur takiya mire pahlu men rakh dena
vo sona aap aur mera jagana yaad aata hai
vo sidhi ulti ik ik munh men sau sau mujh ko kah jaana
dam-e-bosa vo tera ruuth jaana yaad aata hai
tasalli ko dil-e-betab ki meri dam-e-rukhsat
nai qasmen vo jhuti jhuti khana yaad aata hai
vo rashk-e-ghair par ro ro ke hichki meri bandh jaana
farebon se vo tera shak mitana yaad aata hai
vo mera chaunk chaunk uthna sahar ke gham se aur tera
laga kar apne siina se sulana yaad aata hai
kabhi kuchh kah ke vo mujh ko rulana us sitamgar ka
phir ankhen nichi kar ke muskurana yaad aata hai
Leave a Reply