us ki vafa na meri vafa ka saval tha
donon hi chup the sirf ana ka saval tha
is kashmakash men khatm hua raat ka safar
zid thi miri to us ki haya ka saval tha
sab muntazir the asman deta hai kya javab
pyase labon pe kaali ghata ka saval tha
majbur ham the aur vo mukhtar tha magar
donon ke beach dast dua ka saval tha
jaana tha mai-kade se hamen ku-e-yar tak
lekin hamari laghzish-e-pa ka saval tha
taqsim karne nikla tha vo raushni magar
jalte hue diye ko hava ka saval tha
‘dana’ mujhe azal se ghazal ki talash thi
ye meri zindagi ki ada ka saval tha
Leave a Reply