• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Qadam Marhala-E-dar-O-Salib Aaj Bhi Hai

Har Qadam Marhala-E-dar-O-Salib Aaj Bhi Hai

sahir-ludhianvi

har qadam marhala-e-dar-o-salib aaj bhi hai

jo kabhi tha vahi insan ka nasib aaj bhi hai

jagmagate hain ufuq par ye sitare lekin

rasta manzil-e-hasti ka muhib aaj bhi hai

sar-e-maqtal jinhen jaana tha vo ja bhi pahunche

sar-e-mimbar koi mohtat khatib aaj bhi hai

ahl-e-danish ne jise amr-e-musallam maana

ahl-e-dil ke liye vo baat ajiib aaj bhi hai

ye tiri yaad hai ya meri aziyat-koshi

ek nashtar sa rag-e-jan ke qarib aaj bhi hai

kaun jaane ye tira shaer-e-ashufta-e-mizaj

kitne maghrur khudaon ka raqib aaj bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mujhe Mila Wo Bahaaron Ki sarKHushi Ke Sath

Kabhi honTon Pe Aisa Lams Apni Aankh Khole

Sine Ki KHanqah Mein Aane Nahin Diya

fatima-hasan

Kaho To Nam Main de dun Ise Mohabbat Ka

kishwar-naheed

Ghas To Mujh Jaisi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet