gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin padhta
ye daur vo hai jo sher-o-adab nahin padhta
koi to baat hai rudad-e-khun-e-nahaq men
kahin kahin se vo padhta hai sab nahin padhta
kisi ka chehra-e-taban ki mah-e-rakhshanda
jo padhne vaala hai quran vo kab nahin padhta
vo kaun hai jo tujhe raat din nahin likhta
vo kaun hai jo tujhe roz-o-shab nahin padhta
vo ab to is qadar iz.har-e-haq se darta hai
agar likha ho kahin lab to lab nahin padhta
na jaane in dinon kya ho gaya hai saaqi ko
nigah-e-rind men husn-e-talab nahin padhta
usi ka rang hai ‘afsar’ usi ki khushbu hai
mira kalam koi be-sabab nahin padhta
Leave a Reply