un ki chashm-e-mast men poshida ik mai-ḳhana tha
jaam tha saghar tha mai thi shisha tha paimana tha
kya faqat mera hi ik chhalka hua paimana tha
jo bhi un ki bazm men tha hosh se begana tha
iḳhtilaf-e-shakl ne dhoka nigahon ko diya
varna jo kuchh sham-e-sozan thi vahi parvana tha
kis tarah chhupta miri TuuTi hui tauba ka raaz
ek main tanha na tha maiḳhane ka mai-ḳhana tha
yaad itna rah gaya hai qissa-e-ahd-e-shabab
ik ḳhumar-e-be-ḳhudi tha aap se begana tha
zard chehra band lab ankhon men aansu dil pe haath
be-zabani ki zaban thi aur mira afsana tha
husn ki duniya ke saath un ki taraf duniya-e-ishq
aur yahan dil hi na tha aur tha bhi to divana tha
jis ki pamali men muzmar abiyari thi ‘vaqar’
main riyaz-e-dahr men vo sabza-e-begana tha
Leave a Reply