din men is tarah mire dil men samaya suraj
raat ankhon ke ufuq par ubhar aaya suraj
apni to raat bhi jalte hi kaTi din ki tarah
raat ko so to gaya din ka sataya suraj
sub.h nikla kisi dulhan ki damak ruḳh pe liye
shaam Duuba kisi beva sa bujhaya suraj
raat ko main mira saaya the ikaTThe donon
le gaya chhin ke din ko mira saaya suraj
din guzarta na tha kam-baḳht ka tanha jalte
vadi-e-shab se mujhe DhunD ke laaya suraj
tu ne jis din se mujhe saunp diya zulmat ko
tab se din men bhi na mujh ko nazar aaya suraj
asman ek sulagta hua sahra hai jahan
DhunDhta phirta hai ḳhud apna hi saaya suraj
din ko jis ne hamen nezon pe chaḌha.e rakkha
shab ko ham ne vahi palkon pe sulaya suraj
Leave a Reply