jism ki divar ke bahar na dekh
dusron ki aankh se manzar na dekh
dushmanon ki ḳhamiyon par rakh nazar
doston ke haath men ḳhanjar na dekh
dahr men rakh har nafas se ḳhud gharaz
ghar ke hote aur koi ghar na dekh
yuun bhi hai tujh ko bikharna ek din
zaat ke a.ine se bahar na dekh
be-qarari hi muqaddar hai tira
naz-o-andaz-e-dil-e-muztar na dekh
ho chuki ‘ḳhanda’ har ik sozish tamam
be-sabab ab raakh ke andar na dekh
Leave a Reply