tanha khade hain ham sar-e-bazar kya karen
koi nahin hai gham ka kharidar kya karen
ai kam-nasib dil tu magar chahta hai kya
sannyas le len chhod den ghar-bar kya karen
uljha ke khud hi ziist ke ik ek taar ko
khud se saval karte hain har baar kya karen
ik umr tak jo ziist ka hasil bani rahin
pamal ho rahi hain vo aqdar kya karen
hai puuri kaenat ka chehra dhuan dhuan
ghazlon men zikr-e-yar tarah-dar kya karen
is dohri zindagi men bhi lakhon azaab hain
duniya se dil hai barsar-e-paikar kya karen
Leave a Reply