purane rang men ashk-e-gham taaza milata huun
dar-o-divar par kuchh aks-e-na-dida sajata huun
mujhe sahra-navardi raas aati ja rahi hai ab
ḳharabat-e-chaman men lala-o-sausan ugata huun
mire is shauq se dariya kinare sab shanasa hain
jahan tufan ho maujon ka vahan langar uThata huun
tumhari naghma-sanji ki dukan par jo nahin milta
vahi ik naghma-e-pur-soz main sab ko sunata huun
na jaane kis nagar abad ho jaati hain vo ja kar
main aksar shaam ko chhat se patangen jo uḌata huun
paḌe hain aable lekin qadam phir bhi hain barjasta
main kab se laash apni apne kandhon par uThata huun
Leave a Reply