kisi makan ke dariche ko va to hona tha
mujhe kisi na kisi din sada to hona tha
jise ḳhamida saron se mile qad-o-qamat
use kisi na kisi din ḳhuda to hona tha
main janta tha jabinon pe bal paḌenge magar
qalam ka qarz tha aḳhir ada to hona tha
ye kya zarur pata puchhte phiren us ka
mila hi yuun tha vo jaise juda to hona tha
vo pichhli raat ki ḳhushbu rachi rachi si faza
sahar qarib thi vaqf-e-dua to hona tha
ham ek jaan hi sahi dil to apne apne the
kahin kahin se fasana juda to hona tha
main aa.ina tha chhupata kisi ko kya rahat
vo dekhta mujhe jab bhi ḳhafa to hona tha
Leave a Reply