hamin nashad nazar aate hain dil-shad hain sab
hamin is daur men barbad hain abad hain sabab
khaksaron se bhala itni kudurat kya hai
ek daman ke jhatakne men to barbad hain sabab
shikva ab kya hai tujhe kahte na the ham ai dil
jin ke talvar se abru hain vo jallad hain sab
uqde khul jaenge aghyar ke rafta rafta
hamin zulfon ke giraftar hain azad hain sab
un hasinon men bura kis ko kahun kis ko bhala
mujhe divana banane ko jo tayyar hain sab
astin dida-e-giryan se juda ho kyunkar
nahin bhule kisi chitvan ke maze yaad hain sab
kis ke kakul nahin shanon pe khule rahte hai
dam-bar-dosh mire vaste sayyad hain sabab
koi sunta nahin fariyad kisi ke bulbul
kahne ko jitne hain gul-gosh be-fariyad hain sab
dasht-gardi hi dava mujh ko agar sauda hai
khaar jangal ke nahin nashtar-e-fassad hain sab
shama roti hai to is bazm men sar katta hai
dadras koi nahin bar-sar-e-bedad hain sab
na to raftar bure aur na guftar bure
jitni us shab men adaen hain khuda-dad hain sab
sadqe rukh par huun ki qurban qad-e-zeba par
ghairat-e-gul men ye but ghairat-e-shamshad hain sab
nsibatan farq nahin ek hain abna-e-jahan
ek hai un ki aur ik baap ki aulad hain sab
us ki divar se sar phod rahe hain ashiq
rashk-e-shirin hai vo but ghairat-e-farhad hain sab
dil-lagi kis se karun ‘bahr’ ki ji chhut gaya
mehr-pesha nahin koi sitam-ijad hain sab
Leave a Reply