jab ashiqi men mera koi raz-dan nahin
aisi lagi hai aag ki jis ka dhuan nahin
go main sharik-e-bazm sar-e-asman nahin
vo raaz kaun sa hai jo mujh par ayaan nahin
main sochta huun ziist men nakam ho gaya
mere ḳhulus-e-shauq ka jab imtihan nahin
mera maqam ishq-e-butan men hai be-misal
go main rahin-e-minnat-e-pir-e-mughan nahin
vo ashiqi nahin hai koi karobar hai
jis ashiqi men garmi-e-soz-e-nihan nahin
main soz-o-saz-e-shauq men had se guzar gaya
ab is safar men mera koi karvan nahin
meri nava-e-gham men hai shamil fughan-e-gul
kaise kahun chaman men koi ham-zaban nahin
ma.amur ho gaya hai vo soz-e-hayat se
jo mubtala-e-gardish-e-kaun-o-makan nahin
shauq-e-safar men valvala-e-dil nahin raha
dushman rah-e-hayat men jab asman nahin
Leave a Reply