be-tab hain aur ishq ka daava nahin ham ko
avara hain aur dasht ka sauda nahin ham ko
ghairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai
yaron se agarche koi shikva nahin ham ko
nairangi-e-dil hai ki taghaful ka karishma
kya baat hai jo teri tamanna nahin ham ko
ya tere alava bhi kisi shai ki talab hai
ya apni mohabbat pe bharosa nahin ham ko
ya tum bhi mudava-e-alam kar nahin sakte
ya charagaro fikr-e-mudava nahin ham ko
yuun barhami-e-kakul-e-imroz se khush hain
jaise ki khayal-e-rukh-e-farda nahin ham ko
Leave a Reply