ye lafz suqrat lafz iisa
main in ka khaliq ye mere khaliq
yahi azal hain yahi abad hain yahi zaman hain yahi makan hain
ye zehn-ta-zehn rah-guzar hain ye ruh-ta-ruh ik safar hain
sadaqat-e-asr bhi yahi hain karahat-e-jabr bhi yahi hain
alamat-e-dard bhi yahi hain karamat-e-sabr bhi yahi hain
baghair tafriq-e-rang-o-mazhab zamin zamin in ki badshahi
khinche hue hain lahu lahu men bichhe hue hain zaban zaban par
ye jhuut bhi hain ye luut bhi hain ye jang bhi hain ye khuun bhi hain
magar ye majburiyan hain in ki
baghair in ke hayat saari tavahhumati
har ek harakat sukut thahre
na kah saken kuchh na sun saken kuchh
har ek aina apni akkasiyon pe hairan ho aur chup ho
nigah-e-nazzara-bin tamasha ho vahshaton ka
ijazat-e-jalva de ke jaise zaban se goyai chhin li jaae
na husn kuchh ho na ishq kuchh ho
tamam ehsas ki havaen tamam irfan ke jazire tamam ye ilm ke samundar
sarab hon vahm hon guman hon
ye lafz tesha hain jin se afkar apni surat tarashte hain
masih-e-dast-o-qalam se niklen to phir ye alfaz bolte hain
yahi musavvir yahi hain but-gar yahi hain shaer
yahi mughanni yahi nava hain
yahi payambar yahi khuda hain
main kimiya huun ye kimiya-gar
ye mera kalyan chahte hain
main in ki taskhir kar raha huun
ye meri taamir kar rahe hain
Leave a Reply