muskurati ankhon ko doston ki nam karna
raam aise afsane chhoḌ do raqam karna
ab kahan vo pahli si fursaten mayassar hain
saara din safar karna saari raat gham karna
sabr ki rivayat men jabr ki adalat men
lab kabhi na va karna sar kabhi na zaḳhm karna
main gunahgaron men sahab-e-tariqat huun
daḳhili shahadat par mera sar qalam karna
zindagi to sapna hai kaun ‘ram’ apna hai
kya kisi ko dukh dena kya kisi ka gham karna
Leave a Reply