khauf-e-jan as-pas rahta hai
dil yuun hi kab udaas rahta hai
dekh kar ab lahu ki arzani
har koi bad-havas rahta hai
saare insan bichhad gae to kya
mera gham mere paas rahta hai
jab se dil ko diye hain us ne zakhm
karb-o-gham as-pas rahta hai
aadmi ja basega suraj par
aisa bhi kya qayas rahta hai
khauf-e-dariya use nahin hota
jo samundar-shanas rahta hai
Leave a Reply