halat ki ujdi mahfil men ab koi sulagta saaz nahin
naghme to lapakte hain lekin shoalon sa kahin andaz nahin
har barg-e-hasin ko dete hain zakhmon ke mahakte nazrane
kanton se bada is gulshan men phulon ka koi dam-saz nahin
ya saya-e-gul ka hai ye karam ya farq hai daane paani ka
panchhi to vahi hain gulshan men pahli si magar parvaz nahin
marqad sa bana hai khushbu ka munh band kali ke siine men
ai sham-e-gulistan tu hi bata ye bhi to kisi ka raaz nahin
chhilke na subu aur jhuum uthen qatra na mile aur pyaas bujhe
ye zarf hai piine valon ka saaqi ka koi eajaz nahin
ai sehn-e-chaman ke zindani kar jashn-e-tarab ki tayyari
bajte hain baharon ke kangan zanjir ki ye avaz nahin
Leave a Reply