guzar gai hai abhi sa.at-e-guzishta bhi
nazar uTha ki guzar jaega ye lamha bhi
bahut qarib se ho kar guzar gai duniya
bahut qarib se dekha hai ye tamasha bhi
guzar rahe hain jo bar-e-nazar uThae hue
ye log mahv-e-tamasha bhi hain tamasha bhi
vo din bhi the ki tiri ḳhvab-gin nigahon se
pukarti thi mujhe zindagi bhi duniya bhi
jo be-sabati-e-alam pe bahs thi sar-e-bazm
main chup raha ki mujhe yaad tha vo chehra bhi
kabhi to chand bhi utrega dil ke angan men
kabhi to mauj men aaega ye kinara bhi
nikal dil se gae mausamon ki yaad ‘ajmal’
tiri talash men imroz bhi hai farda bhi
Leave a Reply