charagar chup hain kyuun ilaaj karen
kuchh to apne kiye ki laaj kar
un se kis ne kaha tha vo mujh ko
fard-e-hasti men indiraj karen
roz khaTka sa dil men rahta hai
dekhiye kya vo hukm aaj karen
fursat-e-zist kam hi kaam bahut
kal jo karna hai ham ko aaj karen
charagar bhi na kya karenge yaad
kar saken jis qadar ilaaj karen
sab usi ki si kah rahe hain ‘aziz’
kis se ham arz-e-ehtiyaj karen
Leave a Reply