• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaane Kitna Jiwan Pichhe chhuT Gaya Anjaane Mein

Jaane Kitna Jiwan Pichhe chhuT Gaya Anjaane Mein

jaane kitna jivan pichhe chhuT gaya anjane men

ab to kuchh qatre hain baaqi sanson ke paimane men

apni pyaas liye honTon par lauT aa.e maiḳhane men

kitne tishna-lab baiThe the pahle hi maiḳhane men

kya kya ruup liye rishton ne kaise kaise rang bhare

ab to farq nahin kuchh lagta apne aur begane men

jazbon ki mismar imarat yadon ke be-jan khanDar

jaane kyuun baiThe hain tanha ham aise virane men

is basti men aa kar ham ne kuchh aisa dastur suna

aql ki baten karne vaale honge pagal-ḳhane men

itna jaan liya to yaaro kaisi bandish unvan ki

apna apna rang bharega har koi afsane men

takmil-o-taḳhliq ka lamha bhari hai in sadiyon par

jo abad nagar ki qismat likh Dalin virane men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

dur Se Kya Muskura Kar dekhna

Hai Mere Gird Yaqinan Kahin Hisar Sa Kuchh

Hath Khaali Hai Koi Kankar uTha

Itne Imkan Ke Ujalon Mein

Jo Takabbur Se bhaTakti Hai Zaban

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet