kaun hai jis ka saara dukh hai
dukh bhi jis ka chara dukh hai
miThi baten karta hai vo
aur ankhon men khara dukh hai
main aurat huun mujh se maliye
mera miTTi gaara dukh hai
ishq men dukh hi chara samjha
aur vaj.h bechara dukh hai
dekh ḳhuda ab tere hote
mera sirf sahara dukh hai
ek kinara tum ho ya.ani
mera ek kinara dukh hai
hanste rahte hain ham donon
main huun dukh ka maara dukh hai
Leave a Reply