• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri Zindagi Ki Kitab Mein Yahi Naqsh Hain Mah-O-Sal Ke

Meri Zindagi Ki Kitab Mein Yahi Naqsh Hain Mah-O-Sal Ke

miri zindagi ki kitab men yahi naqsh hain mah-o-sal ke

vo shagufta rang uruuj ke ye shikasta rang zaval ke

tire husn se mire ishq tak ye jo nisbaton ke hain silsile

ye shajar hain ek hi baagh ke ye samar hain ek hi Daal ke

main suna.un kya koi dastan ki subut-e-gham bhi nahin raha

mire ishq naame ko le gaya koi taq-e-jan se nikal ke

mire baagh men vo gulab tha ki mahak raha tha chaman chaman

vo jo gum hua to bikhar ga.e sabhi rang huzn-o-malal ke

koi ḳhvab hai na ḳhayal hai koi aarzu hai na justuju

ye kahan hai la ke biTha diya mujhe qaid-e-jan se nikal ke

main bhaTak raha tha jihat jihat tire naqsh-e-pa ki talash men

mire saath saath chala kiye ka.i aks ḳhvab-o-ḳhayal ke

mujhe shahrah-e-hayat par ka.i aise ghar bhi mile ‘ziya’

jahan qumqume na jale kabhi na vo hijr ke na visal ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zist Be-Waada-E-Anwar-E-Sahar Hai Ki Jo Thi

Tere Karam Ka Mere Dasht Pe Jo Saya Hua

ajmal-siraj

diwar Yaad Aa Gai dar Yaad Aa Gaya

poet

Mausam Ne Gulabon Ke Angare Hi baKHshe Hain

Tanhaiyon Mein Shor-E-Qayamat Bapa Hai KHair

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet