harf tum apni nazakat pe na laana hargiz
haath bedad-o-sitam se na uthana hargiz
tum bhi chori ko yaqin hai na kahoge achchha
ab hamen dekh ke ankhen na churana hargiz
ishq hai ek magar afat-e-nau hai har-dam
ye vo mazmun hai ki hoga na purana hargiz
yahi andaz to hain dil ke uda lene ke
un ki tum nichi nigahon pe na jaana hargiz
sabab-e-qatl-e-mohabbat hai agar ai zalim
to mira jurm kisi ko na batana hargiz
dil-e-khun-gashta ka ho raaz na ifsha ai chashm
ashk-e-gul-rang ka tapka na lagana hargiz
huun tunak-zarf na jhelunga sharab-e-pur-zor
parda yakbar na chehre se uthana hargiz
ham se bimar bhi jan-bar kahin hote hain masih
tum yahan aa ke na taklif uthana hargiz
jins-e-nayab ke hote hain hazaron gahak
tum pata apna kisi ko na batana hargiz
main to kya us se to muusa bhi na sar-bar aae
imtihanan hamen jalva na dikhana hargiz
jo chala tir-e-sitam dil se vo guzra ai charkh
tera khali na gaya koi nishana hargiz
zikr barbadi-e-dehli ka suna kar hamdam
neshtar zakhm-e-kuhan par na lagana hargiz
ab-e-rafta nahin phir bahr men phir kar aata
dehli abad ho ye dhyan na laana hargiz
vo to baaqi hi nahin jin se ki dehli thi murad
dhoka ab naam pe dehli ke na khana hargiz
geti-afroz agar hazrat-e-nayyar rahte
itna tarik to hota na zamana hargiz
ab to ye shahr hai ik qalib-e-be-jan hamdam
kuchh yahan rahne ki khushiyan na manana hargiz
dar-e-mai-khana hua band sada ye hai buland
yaan harifan-e-qadah-khvar na aana hargiz
allah allah vo navvab-e-ulai ke kalam
jin se rangin nahin bulbul ka tarana hargiz
tu to hai ‘anvar’-o-‘maikash’ ki judai ka nishan
dil-e-pur-dard se ai daagh na jaana hargiz
saut-e-bulbul taraf-angez sahi par hamdam
dard farsuda dilon ko na sunana hargiz
main huun ik majma-e-ahbab ka bichhda gulchin
mujh ko gul-dasta-e-rangin na dikhana hargiz
jama hai majma-e-ahbab faza men teri
ai tasavvur ye muraqqaa na mitana hargiz
dil men hain hasrat-o-andoh ke ambar lage
itna yakja na kahin hoga khazana hargiz
saqi-e-bazm tiri tarz-e-taghaful ke nisar
durd-e-mai ka bhi idhar jaam na laana hargiz
qahr laenge ye talea jo zara bhi chete
ai falak khvab se un ko na jagana hargiz
mahfil-e-aish se gar haz ho uthana ai dost
ham se azurda-dilon ko na bulana hargiz
dar-e-fani men na kar fikr-e-qayam ai nadan
guzar-e-sail hai yaan ghar na banana hargiz
jin ke aivan the ham-palla-e-qasr-e-qaisar
un ki milta nahin qabron ka thikana hargiz
vo gae din jo chaman-zar men dil lagta tha
sach hai yaksan nahin rahta hai zamana hargiz
ham-safiran-e-chaman sab hue garm-e-parvaz
ab khush aata nahin gulzar men jaana hargiz
zaghan-o-zagh ki gulshan men sada hai har su
murgh-e-khush-naghma na avaz sunana hargiz
qasr-e-hali ke havali men zara tum ‘majruh’
apni dedh iint ki masjid na banana hargiz
Leave a Reply