farogh-e-dida-o-dil lala-e-sahar ki tarah
ujala bin ke raho sham-e-rahguzar ki tarah
payambaron ki tarah se jiyo zamane men
payam-e-shauq bano daulat-e-hunar ki tarah
ye zindagi bhi koi zindagi hai ham-nafaso
sitara ban ke jale bujh gae sharar ki tarah
dara saki na mujhe tirgi zamane ki
andheri raat se guzra huun main qamar ki tarah
samundaron ke talatum ne mujh ko paala hai
chamak raha huun isi vaste guhar ki tarah
tamam koh o tal o bahr o bar hain zer-e-nagin
khula hua huun main shahin ke bal-o-par ki tarah
tamam daulat-e-kaunain hai khiraj us ka
ye dil nahin kisi luute hue nagar ki tarah
guzar ke khaar se ghunche se gul se shabnam se
main shakh-e-vaqt men aaya huun ik samar ki tarah
main dil men talkhi-e-zahrab-e-gham bhi rakhta huun
na misl-e-shahd huun shirin na main shakar ki tarah
khizan ke dast-e-sitam ne mujhe chhua hai magar
tamam shoala o shabnam huun kashmar ki tarah
miri nava men hai lutf-o-surur-e-subh-e-nashat
har ek sher hai rindon ki sham-e-tar ki tarah
ye fatehana ghazal asr-e-nau ka hai ahang
buland o past ko dekha hai dida-var ki tarah
Leave a Reply