kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta huun
phate kapdon ko apni khilat-e-diba samajhta huun
jahan divana koi apne saae se ulajhta hai
use zulf-e-musalsal ka tiri sauda samajhta huun
main go majnun huun par matlab nahin kuchh koh-o-sahra se
savad-e-shahr hi ko khema-e-laila samajhta huun
hazaron bagh-e-duniya men tamashe main ne dekhe hain
do-rangi ko zamane ki gul-e-raana samajhta huun
nahin mai-khana-e-alam men mujh sa mast-o-be-khud hai
ki shor-e-hashr ko bhi qulqul-e-mina samajhta huun
ata ki hai khuda ne chashm-e-vahdat-e-bin mujhe jaise
jise qatra samajhta tha use dariya samajhta huun
hamen rah rah ke yaad aata hai hangam-e-itab us ka
dikha kar aankh kahna rah to ja kaisa samajhta huun
khat-e-mushkin ko raihan janta huun bagh-e-alam men
tiri chashm-e-siyah ko nargis-e-shahla samajhta huun
barabar ghair ke bhi martaba mera nahin afsos
agarche aap kahte hain tujhe apna samajhta huun
maqam-e-imtihan men dekh lena ek din sahab
raqib-e-ru-siyah thahrega kya itna samajhta huun
numud itni kahan thi shaeri men meri ai ‘ghafil’
men is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-‘goya’ samajhta huun
Leave a Reply