aane vaali kal ki de kar ḳhabar gaya ye din bhi
mah-e-visal ki shiryanon men utar gaya ye din bhi
lamha lamha saa.at saa.at pal pal men taqsim hua
reza reza hote hote bikhar gaya ye din bhi
us ki tabani par kitne hi suraj qurban hue
apne hone ka dukh sah kar magar gaya ye din bhi
sard hava ka jhonka tha jo sannaTo ko chiir gaya
kitne dilon par dastak de kar guzar gaya ye din bhi
ham to apni nindon men ḳhvabon ko jaga kar ḳhvar hue
mauj-e-sarab men Dhal kar jaane kidhar gaya ye din bhi
Leave a Reply