jab har ik shahr balaon ka thikana ban jaae
kya khabar kaun kahan kis ka nishana ban jaae
ishq khud apne raqibon ko baham karta hai
ham jise pyaar karen jan-e-zamana ban jaae
itni shiddat se na mil tu ki judai chahen
yahi qurbat tiri duuri ka bahana ban jaae
jo ghazal aaj tire hijr men likkhi hai vo kal
kya khabar ahl-e-mohabbat ka tarana ban jaae
karta rahta huun faraham main zar-e-zakhm ki yuun
shayad ainda zamanon ka khazana ban jaae
is se badh kar koi inam-e-hunar kya hai ‘faraz’
apne hi ahd men ik shakhs fasana ban jaae
Leave a Reply