• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Arbab-E-Gulistan Ka Chalan Dekh Raha Hun

Arbab-E-Gulistan Ka Chalan Dekh Raha Hun

arbab-e-gulistan ka chalan dekh raha huun

kaliyon ki jabinon pe shikan dekh raha huun

nazron men simaTti chali aati hain baharen

ik shoḳh ki ra.ana.i-e-tan dekh raha huun

har phuul tire husn ka a.ina bana hai

jalve tire ai jan-e-chaman dekh raha huun

halat ki gardish bhi nazar men hai magar aah!

majbur nigahon men thakan dekh raha huun

phir shauq-e-shahadat men baḌhe aate hain jan-baz

ik hashr sar-e-dar-o-rasan dekh raha huun

ye vadi-e-gul-posh hasinon ke ye jhurmuT

har samt sitaron ke chaman dekh raha huun

ai ‘naqsh’ nazar men hain na.e daur ke andaz

miTte hue asar-e-kuhan dekh raha huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kahan Zamin Ke Zaif Zine Pe Chal Rahi Hai

Rasm-E-Duniya Jaan Kar Hargiz Na Yarana Karo

poet

Bana Bana Ke Aks KHadd-O-Khaal Rakh Diye Gae

shad-azimabadi

Agar Marte Hue Lab Par Na Tera Nam Aaega

poet

Ye dauD-Dhup Ba-Har-Subh-O-Sham Kis Ke Liye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet